' Swatantrta' arthat apna tantra ya sasan. Parantu jis desh me har rajya ka apna tantra ho aur is desh ka apna tantra hai us desh me swatntrta ka koi matlab nahi rah jata hai. har jagah itni bandishe hain ki yeh angrejo se bhi badtar sthiti paida karta hai. Angrjo ke samay ek kanoon tha parantu ab har rajya ka alag kanoon aur is desh ka alag kanoon.
Itni vivasta ke baad bhi agar koi apne ko swatantra samjhe to yeh nasamjhi hi hogi. Ham jis desh me rahte hain waha hame swatantrta se jine ka adhikar ho, hame kisi rajya ya prant se na jora jaye tabhi to ham swatantra desh ke swatantra nagrik kahalayenge ya sirf jah dene se ki ham swatantra ho gaye yah man keba chahiye.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें